Monday, December 30, 2013

A Message to the NRIs (in Hindi)

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile toh laut aau mere watan mai

aaj se kuch saal pehle
tarakki ki raah mai,
jindagi ki daud mai,
aage badhne ki chaah mai,
mai jaana chahta tha watan se door
doosre watan ki chaav mai.

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile toh laut aau mere watan mai

mai anjaan tha
wataan ke pyaar se
dharti maa ke dulaar se
mere astitva ki pehchaan se
isliye aa gaya sab chod
apno se door, doosre watan, 
apni talaash mai.

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile toh laut aau mere watan mai

paraye desh mai
parayo ke beech
apni pehchaan banane ki koshish mai
aasman choone ki chah mai,
mai uss desh ki tarakki mai shaamil ho gaya
aur jaane anjaane mai apne watan se door ho gaya.

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile toh laut aau mere watan mai

Aaj mujhe har choti cheez
mere desh ki yaad dilati hai.
meri pehchaan ujagar karti hai
sab kuch hai yahan
par apna kehne ke liye koi nahi
apna watan aakhir apna hi hota hai

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile tu laut aau mere watan mai

har mushkil ghadi mai
bachpan se ladi tak,
khada tha saath mai
aaj jab use meri jaroorat hai
mai usse door doosre watan ki unnati mai yogdaan kar raha hoon.

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile tu laut aau mere watan mai

apne watan ki safalta mai kush hota
garv se usse apna batata
waapas aane ki aasha rakhta
jab mai boodha ho jaata

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile tu laut aau mere watan mai

insaan kitna matlabi ho gaya
jawaani ke josh mai
tarakki ke aahosh mai
yeh to bhool hi gaya
watan ko ek boodhe nahi
jawaan ki jaroorat hai.

Ek choti si khwaish hai mere mann mai
aaj agar mauka mile tu laut aau mere watan mai

Mai boodha ho kar
watan par bojh nahi
jawaani mai watan ke
kaam aana chahta hoon
jeena aur marna apne hi watan mai chahta hoon...JAI HIND!

No comments:

Post a Comment